Search This Blog

Natural Waste se aise ban sakti hai Natural Gas & Electricity Power

Gas & Electricity Power from Natural Waste


Gas & Electricity Power from Natural Waste ke is post me aap janenge ki kaise Paltu Animal's or Bird's ke natural waste ka sahi dhang se upyog kar ke kaise Electricity Power or Natural Gas utpnn ki jaa sakti hai. Post me 3 Success stories ka ek video bhi embed kiya gaya hai. 

Gas & Electricity Power from Natural Waste Hello Friends, Weird Video Box par aapka swagat hai. Dosto, jaisa ki is post ke first sentence me likha gaya hai ye post Gas and Electricity Power se related hai. Waise to aap ke lie Cow ya Buffalo ke natural waste yaani mud or dung se Gas or gas se Electricity banana nayi baat nhi hogi. 

Lekin ye ek khas video maine Youtube se aapke lie yahan embed kiya hai. Ye video Aug 4, 2014 ko youtube par upload kiya gaya hai. Is video me pashuo or pakshio Birds ke dung tatha litter se bio gas utpann karke kitna faayda hota hai or kitni bachat hoti hai is bare me 3 successful stories ko darshaya gaya hai. 

Bharat me Natural waste se Gas or Electricity Power utpnn karne ki bahot sambhavna

Sochne wali baat hai ki aaj duniya bhar me Biomass -  Solar Photovoltaic - Solar Thermal - Bio Gas - Geothermal Energy ka upyog karke usse Electricity Power utpann karne par zor diya jaa raha hai. 

Is video me jin 3 successful stories ko darshaya gaya hai wo tino stories india ki hai. Yaani ki bharat me bhi solar energy - biomass or bio gas jaise prakrutik tariko se Electricity utpnn karne ki koshish naakam nhi ho rahi balki safal ho rahi hai. 

Iska ek khas karan bhi hai. Karan ye ki bharat ke city aria ho ya gaon ka dehaati aria har jagah chaupaaye janvaro ko pashu palan ho hi rha hai. Ab in chaupayo ke natural waste yaani dung ko faink dene ki bjaay uska sahi tarike or sahi samay par upyog kiyaa jae to Electricity Power ka lagbhag 95% kharch km ho jaega. 

Mai aapko ye sab samjha rha hu lekin jab aap is video me successful stories ke bare me janoge or dekhoge to ykinn aap bhi maan jaoge. 


Animal or Bitds ke waste ke alawa bhi utpnn ho sakte hai Electricity Power

Aisa nhi hai ki is tarah ki prakrutik gas or prakrutik Electricity Power chaupaye jaanwar ke natural waste se hi bane. Ha, ye material ka hona jaruri hai fir bhi iska ku6 yaa simit maatra upyog karne se bhi Bio gas or Electricity utpann ki jaa sakti hai. 

Is situation me aapko Vegetable Waste yaani bhaaji-paala, Kitchen and Food Waste jaise stroto ki aavshyakta rahegi. Iske alawa jo log murgi paalan yaani bird farming ke kaam se jue hue hai wo bhi birds litter ka upyog kar is Gas & Electricity Power from Natural Waste ka labh utha sakte hai. Video me ek success story Bird Farming se judi hui hai. 



Natural Waste se Gas or Electricity Watch 3 Successful Stories






Original Video URLhttps://youtu.be/Tv1BxOHwkJE
Video Credit : Arvindra Singh

*If you like our this Gas & Electricity Power from Natural Waste must share with your friends. 

Must Watch Previous 3 Video : 1 - 2 - 3

No comments:

Post a Comment